10.30.2010

pyaar ka pathar

Main ishk ka hoon paagal,
Jeena isi mein behtar,
Tere dil pe hi nishana,
Aur haat mein 'pyar' ka patthar.

raah

Tere aane se bhi zyada,
Tera intezaar pasand hai,
Teri yaad mein har pal,
Wo bekarari pasand hai.

Mehaboo Ki Shamil (funny)


Ishk ke izhaar ke lafzoon mein,
Badd-kismathee se yeh shayari kyon aathi hai.

Ishk ke izhaar ke lafzoon mein,
Badd-kismathee se yeh shayari kyon aathi hai.

WAH WAH karne wale logon mein,
meri mehaboob bhi shamil ho jaathee hi...

moti

O boondon se bana sakta tha moti,
Agar tu O aansu na chod deti.

Pathar bhi phigal ne wali thi,
Agar tu mere dil ko na tod deti.

mano ya na mano

Mano ya na mano 
Ham marnese nahi darthe!

Mano ya na mano 
Ham marnese nahi darthe!

Pyar ho ya war 
Ham peeche se nahee karthe!!

nanhaa panchi

Main tere khayaalon mein ghir gaya aur,
Tum se pyar karna seekh liya.

Jaise nanha panchi vaadi mein ghir gaya aur,
Khud udna seekh liya.

bekaar

Bagair intezaar ke,
Izhaar hai bekaar.
Bagair aazamane ke,
Inkaar hai bekaar.

Har raat mein dekhte hain,
Mere khaab nahi bekaar.
Dil ki nazroon se dekhte hain,
Tera nakab hai bekaar.

Bagair mere sawaal kiye,
Tera jawab hai bekaar.
Bar bar haddi mele,
To wo khawaab hai bekaar.

hont

Band hothon ka rang hai,
Phool-gulab ki laali.

Band hothon ka rang hai,
Phool-gulab ki laali.

Khule to hothon ka dhang hai,
Dena kadvee gaali.

shayaree ki shaam

Tere liye duniyaa mein aaya,
Duniyaa se hai kya kaam.

Tere pyaar ki den hai sanam,
Har shayaree ki shaam.


tera chehra

abhi bhi mai naaraz nahee hu
ab kya tum se kehnaa hai...

abhi bhi mai naaraz nahee hu
ab kya tum se kehnaa hai...

tu ne jo e dil ko thoda
har tukde pe tera chehraa hai!

yaad

Aap ko dekhne ke liye bahut jee chahta hai,
Yeh janam mein ho payega ki nahin,
Main to janam janam tak yaad rakhoonga,
Kya aap yaad rakhenge ki nahin.

samjh loonga

SAMAJH LOONGAA KI MUJHE,
RONAA HI NAHEE AAYA,
ANKHON MEIN NA PANEE AAYA,
AUR NAHEE MAIN ROYA!

SAMAJH LOONGA KI MUJHE,
JAVAANEE HEE NAHI AAYI,
NA HEE TUJHE PYAAR KIYA,
AUR NAHEE TUME PAAYA!

SAMJH LOONGA KI YAHA,
BAAREESH HI NAHEE AAYI,
NAHEE MAIN BHEEG GAYAA,
AUR TERI YAAD NAHEE AAYI!

anjaam

Ashik ban gaya, 
Mat karo waar,
Bura nahee ye pyaar,
Bura hai intezaar.

Letter diyaa to,
Thappad mat maro yaar,
Bura nahee ye ikraar,
Bura hai inkaar.

Sharaabee bana to, 
Mat dalo ilzaam,
Bura nahee ye jaam,
Bura hai anjaam.

teri kami

ITNAA ASAAN NAHEE
BHARNA TANHAI ME TERI KAMI

JAISE SUKHE HOTHON KO DE DI
APNEE ZABAAN SE NAMEE

behtar

ghut ghut ke jeene se 
behtar hai mar jaana...
chhup chhup ke milne se
behtar hai ghar jaana...

do naav ke safar se
behtar hai gir jaana...
ya kisi ek naav ko
chunke savar ho jaana...

nashaa ki mehfil

nasha ke mehfil sajaa gaya hai
dil ke toote tukdon se
hazaaron nagme banaa gaya hai
yahin pe loote mukhdon se !
badan me mere nahsa chadakar 
khud ko our ek dhoka diya
mout aakar jaan loot le
raath our ek mouka diya !
yaad kar ke bhi kal ko,
naadaan dil ko daant liya
nashaa ki mehfil me hee dil ki
toote tukden baant diya !
nami bhi chalee gayee hai dilse,
nikaal ke aasu, sukha diya
nasha ki baate maaf ho, yaaro !
phir se sab ko dukha diya !
intezaar ki bad duva lagee hai,
rukhi nazron ko rula diya
wafa na nibha ne ke gunaah pe
jaam se dil ko jalaa diya !

sapnon me safar

SAPNO ME KIYA GAYA SAFAR HAM DURI MAAN CHUKE
PAIDA KI GAYI ZAROORATH HAM MAJBURI MAANCHUKE

YE DUNIYA TERI YAADON SE BHARI HAI TO KYA HUA
ANKHE BANDH KAR KE TERI GALI KO ANDHERI MAAN CHUKE

DHADKAN AUR SAANS KA CHALA GAYA EHSAAS
AB TO APNE AAP KI BAAT BHI ADHURI MAAN CHUKE

HAKEEKAT KYA HAI KOYI HAME NA SAMJHANA
HAM DUNIYA KI BAATON KO LORI MAAN CHUKE

Duhsmanee

TUMSE DUSHMANEE MOL LI HOTI
TO AB TAK MOHABBAT ME BADAL JAATI!
MOHABBAT KYON KARBAITHA TUMSE
KI AB DUSHMANEE HI DUSHMANEE!

TERE GHAR AAKE BAAT KAR LI HOTI
TO AB TAK SHADI HO JAATI!
CHHUP CHHUP KE KYON MILNE LAGE TUMSE
KI AB SANSANEE HI SANSANEE!


zudaayi

ye aansu meri judaai ke nahi 
judaai me bhi teri yaad ke hai
ye yaad meri tanhaee ki nahi
tanhaee me bhi tere intezaar ke hai
ye intezaar meri aankhon ka nahi
raste pe tiki nazron me Aansu ka hai
aur ye aansu meri judaai ke nahi 
judaai me bhi teri yaad ke hai

khushboo

Agar phoolon me madhu na hota
to khaali khushbhoo pe bhanvre nahi aate
agar mujhme pyaar nahi hota
to khaali lafzon se shaayri nahi aati